ek wahi ma'mool nibhaana hoga phir
khud ko kho kar khud ko paana hoga phir
raahguzar tanhaai ki hai dhyaan rahe
raaste mein hi ek zamaana hoga phir
raah bhatk jaao ab ke ye mumkin hai
par is jungle mein se jaana hoga phir
jin ki aasaani hi jin ki mushkil hai
un lafzon ko hi dohraana hoga phir
vo faldar darakht giraaya aandhi ne
un ka ab kis or nishaana hoga phir
aaj to us se meri raatein raushan hain
kal ko jab ye zakham puraana hoga phir
kab socha tha chuppi bolegi aise
aawazon se yun veeraana hoga phir
sehra mein jo khaak udri hai be-mausam
dekho to vo hi deewaana hoga phir
एक वही मा'मूल निभाना होगा फिर
ख़ुद को खो कर ख़ुद को पाना होगा फिर
राहगुज़र तन्हाई की है ध्यान रहे
रस्ते में ही एक ज़माना होगा फिर
राह भटक जाओ अब के ये मुमकिन है
पर इस जंगल में से जाना होगा फिर
जिन की आसानी ही जिन की मुश्किल है
उन लफ़्ज़ों को ही दोहराना होगा फिर
वो फलदार दरख़्त गिराया आँधी ने
उन का अब किस ओर निशाना होगा फिर
आज तो उस से मेरी रातें रौशन हैं
कल को जब ये ज़ख़्म पुराना होगा फिर
कब सोचा था चुप्पी बोलेगी ऐसे
आवाज़ों से यूँ वीराना होगा फिर
सहरा में जो ख़ाक उड़ी है बे-मौसम
देखो तो वो ही दीवाना होगा फिर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari
our suggestion based on Akhilesh Tiwari
As you were reading Alone Shayari Shayari