hai to pagdandi nazar mein mo'tabar alfaaz ki | है तो पगडंडी नज़र में मो'तबर अल्फ़ाज़ की - Akhilesh Tiwari

hai to pagdandi nazar mein mo'tabar alfaaz ki
le ke jaayegi kahaan tak raahguzaar alfaaz ki

is se aage sirf to hai aur maani ka tilism
ab koi hikmat na hogi kaargar alfaaz ki

kis gali mein chhod kar ruksat hui parchaaiyaan
main hoon aur bebas sadaaein dar-b-dar alfaaz ki

khaamoshi ke in hare pedon pe jaane kya bani
aariyaan chalti sooni hain raat bhar alfaaz ki

aur ik jazbe ne kaaghaz par abhi toda hai dam
rah gaeein sab koshishein phir be-asar alfaaz ki

tum ne jo pichhli rutoon mein bo diye the harf kuch
fasl ug aayi hai dekho baa-samar alfaaz ki

hosh waalon ne use aakhir mohazzab kar diya
vo jo be-khabri thi laati thi khabar alfaaz ki

jism se baahar nikal aayi numaish ke liye
khud-numaai ki havas thi kis qadar alfaaz ki

है तो पगडंडी नज़र में मो'तबर अल्फ़ाज़ की
ले के जाएगी कहाँ तक रहगुज़र अल्फ़ाज़ की

इस से आगे सिर्फ़ तो है और मआ'नी का तिलिस्म
अब कोई हिकमत न होगी कारगर अल्फ़ाज़ की

किस गली में छोड़ कर रुख़्सत हुई परछाइयाँ
मैं हूँ और बेबस सदाएँ दर-ब-दर अल्फ़ाज़ की

ख़ामुशी के इन हरे पेड़ों पे जाने क्या बनी
आरियाँ चलती सुनी हैं रात भर अल्फ़ाज़ की

और इक जज़्बे ने काग़ज़ पर अभी तोड़ा है दम
रह गईं सब कोशिशें फिर बे-असर अल्फ़ाज़ की

तुम ने जो पिछली रुतों में बो दिए थे हर्फ़ कुछ
फ़स्ल उग आई है देखो बा-समर अल्फ़ाज़ की

होश वालों ने उसे आख़िर मोहज़्ज़ब कर दिया
वो जो बे-ख़बरी थी लाती थी ख़बर अल्फ़ाज़ की

जिस्म से बाहर निकल आई नुमाइश के लिए
ख़ुद-नुमाई की हवस थी किस क़दर अल्फ़ाज़ की

- Akhilesh Tiwari
0 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhilesh Tiwari

As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Akhilesh Tiwari

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari