woh shakl woh shanaakht woh paikar ki aarzoo | वह शक्ल वह शनाख़्त वह पैकर की आरज़ू - Akhilesh Tiwari

woh shakl woh shanaakht woh paikar ki aarzoo
patthar ki ho ke rah gai patthar ki aarzoo

chat ho falak to khaak udaane ko paanv mein
sehra mein kheenchti hai humein ghar ki aarzoo

zakhmi kiye hain paanv kabhi laai raah par
kab kaun jaan paaya hai thokar ki aarzoo

apni girift mein liye udta phire kahi
parwaaz ko hai kab se usi par ki aarzoo

rahti hai mujh mein kab se kunvaari hai aaj tak
ik aarzoo ke apne swayamvar ki aarzoo

akhilesh kab bujhi hai havas ki shadeed pyaas
dariya tamaam pee le samundar ki aarzoo

वह शक्ल वह शनाख़्त वह पैकर की आरज़ू
पत्थर की हो के रह गई पत्थर की आरज़ू

छत हो फ़लक तो ख़ाक उड़ाने को पाँव में
सहरा में खींचती है हमें घर की आरज़ू

ज़ख़्मी किए हैं पाँव कभी लाई राह पर
कब कौन जान पाया है ठोकर की आरज़ू

अपनी गिरफ़्त में लिए उड़ता फिरे कहीं
पर्वाज़ को है कब से उसी पर की आरज़ू

रहती है मुझ में कब से कुँवारी है आज तक
इक आरज़ू के अपने स्वयंवर की आरज़ू

'अखिलेश' कब बुझी है हवस की शदीद प्यास
दरिया तमाम पी ले समुंदर की आरज़ू

- Akhilesh Tiwari
0 Likes

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhilesh Tiwari

As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Akhilesh Tiwari

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari