vaham hi hoga magar roz kahaan hota hai
dhundh chhaai hai to ik chehra ayaan hota hai
shaam khush-rang parindon ke chahak jaane se
ghar hua jaata hai din mein jo makaan hota hai
vo koi jazba ho alfaaz ka mohtaaj nahin
kuchh na kehna bhi khud apni hi zabaan hota hai
be-sabab kuchh bhi nahin hota hai ya yun kahiye
aag lagti hai kahi par to dhuaan hota hai
baaz-gasht aur sadaaon ki ubhar aati hai
jitna khaali koi akhilesh kuaan hota hai
वहम ही होगा मगर रोज़ कहाँ होता है
धुंध छाई है तो इक चेहरा अयाँ होता है
शाम ख़ुश-रंग परिंदों के चहक जाने से
घर हुआ जाता है दिन में जो मकाँ होता है
वो कोई जज़्बा हो अल्फ़ाज़ का मोहताज नहीं
कुछ न कहना भी ख़ुद अपनी ही ज़बाँ होता है
बे-सबब कुछ भी नहीं होता है या यूँ कहिए
आग लगती है कहीं पर तो धुआँ होता है
बाज़-गश्त और सदाओं की उभर आती है
जितना ख़ाली कोई 'अखिलेश' कुआँ होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari
our suggestion based on Akhilesh Tiwari
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari