mulaahiza ho meri bhi udaan pinjare mein | मुलाहिज़ा हो मिरी भी उड़ान पिंजरे में - Akhilesh Tiwari

mulaahiza ho meri bhi udaan pinjare mein
ata hue hain mujhe do-jahaan pinjare mein

hai sair-gaah bhi aur is mein aab-o-daana bhi
rakha gaya hai mera kitna dhyaan pinjare mein

is ek shart par us ne rihaa kiya mujh ko
rakhega rehan vo meri udaan pinjare mein

yahin halaak hua hai parinda khwaahish ka
tabhi to hain ye lahu ke nishaan pinjare mein

mujhe sataayega tanhaaiyon ka mausam kya
hai mere saath mera khaandaan pinjare mein

falak pe jab bhi parindon ki saf nazar aayi
hui hain kitni hi yaadein jawaan pinjare mein

khayal aaya hamein bhi khuda ki rahmat ka
sunaai jab bhi padi hai azaan pinjare mein

tarah tarah ke sabq is liye rataaye gaye
main bhool jaaun khula aasmaan pinjare mein

मुलाहिज़ा हो मिरी भी उड़ान पिंजरे में
अता हुए हैं मुझे दो-जहान पिंजरे में

है सैर-गाह भी और इस में आब-ओ-दाना भी
रखा गया है मिरा कितना ध्यान पिंजरे में

इस एक शर्त पर उस ने रिहा किया मुझ को
रखेगा रेहन वो मेरी उड़ान पिंजरे में

यहीं हलाक हुआ है परिंदा ख़्वाहिश का
तभी तो हैं ये लहू के निशान पिंजरे में

मुझे सताएगा तन्हाइयों का मौसम क्या
है मेरे साथ मिरा ख़ानदान पिंजरे में

फ़लक पे जब भी परिंदों की सफ़ नज़र आई
हुई हैं कितनी ही यादें जवान पिंजरे में

ख़याल आया हमें भी ख़ुदा की रहमत का
सुनाई जब भी पड़ी है अज़ान पिंजरे में

तरह तरह के सबक़ इस लिए रटाए गए
मैं भूल जाऊँ खुला आसमान पिंजरे में

- Akhilesh Tiwari
0 Likes

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhilesh Tiwari

As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Akhilesh Tiwari

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari