ghar ko bhi ghar kar na paaye aur na veeraani mili | घर को भी घर कर न पाए और न वीरानी मिली - Akhilesh Tiwari

ghar ko bhi ghar kar na paaye aur na veeraani mili
bas yahi mushkil thi apni sirf aasaani mili

muntazir kitne khuda the har taraf ab kya kahein
jab ke sajdon ke liye bas ek peshaani mili

is gali se aaj muddat baad jaana phir hua
aaj bhi hairat se takti hum ko hairaani mili

ajnabi is bheed mein tanhaai bhi aayi nazar
dil ko kuch taskin hui ik shakl pahchaani mili

aansuon se raat jo nam ho gaya tha be-tarah
aap ke is khwaab ko kya phir se tabaani mili

घर को भी घर कर न पाए और न वीरानी मिली
बस यही मुश्किल थी अपनी सिर्फ़ आसानी मिली

मुंतज़िर कितने ख़ुदा थे हर तरफ़ अब क्या कहें
जब के सज्दों के लिए बस एक पेशानी मिली

इस गली से आज मुद्दत बाद जाना फिर हुआ
आज भी हैरत से तकती हम को हैरानी मिली

अजनबी इस भीड़ में तन्हाई भी आई नज़र
दिल को कुछ तस्कीं हुई इक शक्ल पहचानी मिली

आँसुओं से रात जो नम हो गया था बे-तरह
आप के इस ख़्वाब को क्या फिर से ताबानी मिली

- Akhilesh Tiwari
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhilesh Tiwari

As you were reading Shayari by Akhilesh Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Akhilesh Tiwari

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari