chaandni ke haath bhi jab ho gaye shal raat ko | चाँदनी के हाथ भी जब हो गए शल रात को

  - Akhtar Imam Rizvi

chaandni ke haath bhi jab ho gaye shal raat ko
apne seene par sambhaala main ne bojhal raat ko

raat bhar chaaya raha ghar ki fazaa par ik hiraas
dastaken deta tha dar par koi paagal raat ko

chaandni mein ghul gaya jab dil ki maayusi ka zahar
main ne khud kafna diya saayo mein komal raat ko

karb ke laave ubalte the sukoon ke aas-paas
uf vo neenden vo giraan-khwaabi ki daldal raat ko

aaj phir dhundla gai akhtar meri shaam-e-firaq
sochta hoon aaj phir barseinge baadal raat ko

चाँदनी के हाथ भी जब हो गए शल रात को
अपने सीने पर सँभाला मैं ने बोझल रात को

रात भर छाया रहा घर की फ़ज़ा पर इक हिरास
दस्तकें देता था दर पर कोई पागल रात को

चाँदनी में घुल गया जब दिल की मायूसी का ज़हर
मैं ने ख़ुद कफ़ना दिया सायों में कोमल रात को

कर्ब के लावे उबलते थे सुकूँ के आस-पास
उफ़ वो नींदें वो गिराँ-ख़्वाबी की दलदल रात को

आज फिर धुँदला गई 'अख़्तर' मिरी शाम-ए-फ़िराक़
सोचता हूँ आज फिर बरसेंगे बादल रात को

  - Akhtar Imam Rizvi

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Imam Rizvi

As you were reading Shayari by Akhtar Imam Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Imam Rizvi

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari