vo khud to mar hi gaya tha mujhe bhi maar gaya | वो ख़ुद तो मर ही गया था मुझे भी मार गया - Akhtar Imam Rizvi

vo khud to mar hi gaya tha mujhe bhi maar gaya
vo apne rog meri rooh mein utaar gaya

samundron ki ye shorish usi ka maatam hai
jo khud to doob gaya mauj ko ubhaar gaya

hawa ke zakham khule the udaas chehre par
khizaan ke shehar se koti to pur-bahaar gaya

andheri raat ki parchaaiyon mein doob gaya
sehar ki khoj mein jo bhi ufuq ke paar gaya

vo raushni ka musaafir main teergi ka dhuaan
to phir bhala vo mujhe kis liye pukaar gaya

mein apne soch ke ham-zaad ka pujaari tha
tira jalaal meri aqibat sanwaar gaya

वो ख़ुद तो मर ही गया था मुझे भी मार गया
वो अपने रोग मिरी रूह में उतार गया

समुंदरों की ये शोरिश उसी का मातम है
जो ख़ुद तो डूब गया मौज को उभार गया

हवा के ज़ख़्म खुले थे उदास चेहरे पर
ख़िज़ाँ के शहर से कोटी तो पुर-बहार गया

अँधेरी रात की परछाइयों में डूब गया
सहर की खोज में जो भी उफ़ुक़ के पार गया

वो रौशनी का मुसाफ़िर मैं तीरगी का धुआँ
तो फिर भला वो मुझे किस लिए पुकार गया

में अपने सोच के हम-ज़ाद का पुजारी था
तिरा जलाल मिरी आक़िबत सँवार गया

- Akhtar Imam Rizvi
0 Likes

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Imam Rizvi

As you were reading Shayari by Akhtar Imam Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Imam Rizvi

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari