dhoondte ho jise dafeenon mein
wahi wahshi hai sab ke seenon mein
mere qaabil ki rivaayat hain
purze jitne bhi hain masheenon mein
subh-dam phir se baant di kis ne
teergi shehar ke makeenon mein
bhook boi gai hai ab ke baras
daant ug aaye hain zameenon mein
zindagi gaav ki haseen ladki
ghir gai hai tamaash-beeno mein
kis musaafir ki baat karte ho
ab to toofaan hain safeenon mein
kis mashqat ke saans leta hoon
ye ghazal bhi hui maheenon mein
ढूँडते हो जिसे दफ़ीनों में
वही वहशी है सब के सीनों में
मेरे क़ाबील की रिवायत हैं
पुर्ज़े जितने भी हैं मशीनों में
सुब्ह-दम फिर से बाँट दी किस ने
तीरगी शहर के मकीनों में
भूक बोई गई है अब के बरस
दाँत उग आए हैं ज़मीनों में
ज़िंदगी गाँव की हसीं लड़की
घिर गई है तमाश-बीनों में
किस मुसाफ़िर की बात करते हो
अब तो तूफ़ान हैं सफ़ीनों में
किस मशक़्क़त के साँस लेता हूँ
ये ग़ज़ल भी हुई महीनों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Imam Rizvi
our suggestion based on Akhtar Imam Rizvi
As you were reading Musafir Shayari Shayari