jo sang ho ke mulaayem hai saadgi ki tarah | जो संग हो के मुलाएम है सादगी की तरह

  - Akhtar Imam Rizvi

jo sang ho ke mulaayem hai saadgi ki tarah
pighal raha hai mere dil mein chaandni ki tarah

mujhe pukaaro to deewaar hoon suno to sada
main goonjtaa hoon fazaaon mein khaamoshi ki tarah

main us ko noor ka paikar kahoon ki jaan-e-khayaal
jo mere dil pe utarta hai shaayri ki tarah

kisi ki yaad ne mahka diya hai zakhm-e-talab
saba ke haath se masli hui kali ki tarah

thaka hua hoon kisi saaye ki talash mein hoon
bichhad gaya hoon sitaaron se raushni ki tarah

main apne karb mein ghaltan vo apne kaif mein gum
hai is ki jeet bhi meri shikast hi ki tarah

khizaan ke zahar ka tiryaaq agar nahin yaaro
gulon ki baat hai be-waqt raagini ki tarah

जो संग हो के मुलाएम है सादगी की तरह
पिघल रहा है मिरे दिल में चाँदनी की तरह

मुझे पुकारो तो दीवार हूँ सुनो तो सदा
मैं गूँजता हूँ फ़ज़ाओं में ख़ामुशी की तरह

मैं उस को नूर का पैकर कहूँ कि जान-ए-ख़याल
जो मेरे दिल पे उतरता है शाइरी की तरह

किसी की याद ने महका दिया है ज़ख़्म-ए-तलब
सबा के हाथ से मसली हुई कली की तरह

थका हुआ हूँ किसी साए की तलाश में हूँ
बिछड़ गया हूँ सितारों से रौशनी की तरह

मैं अपने कर्ब में ग़लताँ वो अपने कैफ़ में गुम
है इस की जीत भी मेरी शिकस्त ही की तरह

ख़िज़ाँ के ज़हर का तिरयाक अगर नहीं यारो
गुलों की बात है बे-वक़्त रागनी की तरह

  - Akhtar Imam Rizvi

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Imam Rizvi

As you were reading Shayari by Akhtar Imam Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Imam Rizvi

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari