har but yahan toote hue patthar ki tarah hai | हर बुत यहाँ टूटे हुए पत्थर की तरह है

  - Akhtar Imam Rizvi

har but yahan toote hue patthar ki tarah hai
ye shehar to ujde hue mandar ki tarah hai

main tishna-e-deedaar ki jhonka hoon hawa ka
vo jheel mein utre hue manzar ki tarah hai

kam-zarf zamaane ki hiqaarat ka gila kya
main khush hoon mera pyaar samundar ki tarah hai

is charkh ki taqdees kabhi raat ko dekho
ye qabr pe phaili hui chadar ki tarah hai

main sang-e-tah-e-aab ki soorat hoon jahaan mein
aur waqt bhi soye hue saagar ki tarah hai

rote hain bagule mere daaman se lipt kar
sehra bhi tabi'at mein mere ghar ki tarah hai

ashaar mere dard ki khairaat hain akhtar
ik shakhs ye kehta tha ki gham zar ki tarah hai

हर बुत यहाँ टूटे हुए पत्थर की तरह है
ये शहर तो उजड़े हुए मंदर की तरह है

मैं तिश्ना-ए-दीदार कि झोंका हूँ हवा का
वो झील में उतरे हुए मंज़र की तरह है

कम-ज़र्फ़ ज़माने की हिक़ारत का गिला क्या
मैं ख़ुश हूँ मिरा प्यार समुंदर की तरह है

इस चर्ख़ की तक़्दीस कभी रात को देखो
ये क़ब्र पे फैली हुई चादर की तरह है

मैं संग-ए-तह-ए-आब की सूरत हूँ जहाँ में
और वक़्त भी सोए हुए सागर की तरह है

रोते हैं बगूले मिरे दामन से लिपट कर
सहरा भी तबीअ'त में मिरे घर की तरह है

अशआ'र मिरे दर्द की ख़ैरात हैं 'अख़्तर'
इक शख़्स ये कहता था कि ग़म ज़र की तरह है

  - Akhtar Imam Rizvi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Imam Rizvi

As you were reading Shayari by Akhtar Imam Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Imam Rizvi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari