jurm-e-hasti ki saza kyun nahin dete mujh ko
log jeene ki dua kyun nahin dete mujh ko
sarsar-e-khoon ke tasavvur se larzate kyun ho
khaak-e-sehra hoon uda kyun nahin dete mujh ko
kyun takalluf hai mere naam pe taaziroon ka
main bura hoon to bhala kyun nahin dete mujh ko
ab tumhaare liye khud apna tamaashaai hoon
dosto daad-e-wafa kyun nahin dete mujh ko
main musaafir hi sahi raat ki khaamoshi ka
tum sehar ho to sada kyun nahin dete mujh ko
jins-e-baazar ki soorat hoon jahaan main akhtar
log sheeshon mein saja kyun nahin dete mujh ko
जुर्म-ए-हस्ती की सज़ा क्यूँ नहीं देते मुझ को
लोग जीने की दुआ क्यूँ नहीं देते मुझ को
सरसर-ए-ख़ूँ के तसव्वुर से लरज़ते क्यूँ हो
ख़ाक-ए-सहरा हूँ उड़ा क्यूँ नहीं देते मुझ को
क्यूँ तकल्लुफ़ है मिरे नाम पे ताज़ीरों का
मैं बुरा हूँ तो भला क्यूँ नहीं देते मुझ को
अब तुम्हारे लिए ख़ुद अपना तमाशाई हूँ
दोस्तो दाद-ए-वफ़ा क्यूँ नहीं देते मुझ को
मैं मुसाफ़िर ही सही रात की ख़ामोशी का
तुम सहर हो तो सदा क्यूँ नहीं देते मुझ को
जिंस-ए-बाज़ार की सूरत हूँ जहाँ मैं 'अख़्तर'
लोग शीशों में सजा क्यूँ नहीं देते मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Imam Rizvi
our suggestion based on Akhtar Imam Rizvi
As you were reading Fantasy Shayari Shayari