duniya bhi pesh aayi bahut be-rukhi ke saath | दुनिया भी पेश आई बहुत बे-रुख़ी के साथ

  - Akhtar Imam Rizvi

duniya bhi pesh aayi bahut be-rukhi ke saath
ham ne bhi zakham khaaye badi saadgi ke saath

ik musht-e-khaak aag ka dariya lahu ki lehar
kya kya rivaayatein hain yahan aadmi ke saath

apnon ki chaahaton ne bhi kya kya diye fareb
rote rahe lipt ke har ik ajnabi ke saath

jungle ki dhoop chaanv hi jungle ka husn hai
saayo ko bhi qubool karo raushni ke saath

tum raaste ki gard na ho jaao to kaho
do-chaar gaam chal ke to dekho kisi ke saath

koi dhuaan utha na koi raushni hui
jaltee rahi hayaat badi khaamoshi ke saath

दुनिया भी पेश आई बहुत बे-रुख़ी के साथ
हम ने भी ज़ख़्म खाए बड़ी सादगी के साथ

इक मुश्त-ए-ख़ाक आग का दरिया लहू की लहर
क्या क्या रिवायतें हैं यहाँ आदमी के साथ

अपनों की चाहतों ने भी क्या क्या दिए फ़रेब
रोते रहे लिपट के हर इक अजनबी के साथ

जंगल की धूप छाँव ही जंगल का हुस्न है
सायों को भी क़ुबूल करो रौशनी के साथ

तुम रास्ते की गर्द न हो जाओ तो कहो
दो-चार गाम चल के तो देखो किसी के साथ

कोई धुआँ उठा न कोई रौशनी हुई
जलती रही हयात बड़ी ख़ामुशी के साथ

  - Akhtar Imam Rizvi

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Imam Rizvi

As you were reading Shayari by Akhtar Imam Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Imam Rizvi

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari