ashk jab deeda-e-tar se nikla | अश्क जब दीदा-ए-तर से निकला

  - Akhtar Imam Rizvi

ashk jab deeda-e-tar se nikla
ek kaanta sa jigar se nikla

phir na main raat gaye tak lautaa
doobti shaam jo ghar se nikla

ek mayyat ki tarah lagta tha
chaand jab qaid-e-sehr se nikla

mujh ko manzil bhi na pehchaan saki
main ki jab gard-e-safar se nikla

haaye duniya ne use ashk kaha
khoon jo zakhm-e-nazar se nikla

ik amaavas ka naseeba hoon main
aaj ye chaand kidhar se nikla

jab uda jaanib-e-manzil akhtar
ek shola mere par se nikla

अश्क जब दीदा-ए-तर से निकला
एक काँटा सा जिगर से निकला

फिर न मैं रात गए तक लौटा
डूबती शाम जो घर से निकला

एक मय्यत की तरह लगता था
चाँद जब क़ैद-ए-सहर से निकला

मुझ को मंज़िल भी न पहचान सकी
मैं कि जब गर्द-ए-सफ़र से निकला

हाए दुनिया ने उसे अश्क कहा
ख़ून जो ज़ख़्म-ए-नज़र से निकला

इक अमावस का नसीबा हूँ मैं
आज ये चाँद किधर से निकला

जब उड़ा जानिब-ए-मंज़िल 'अख़्तर'
एक शो'ला मिरे पर से निकला

  - Akhtar Imam Rizvi

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Imam Rizvi

As you were reading Shayari by Akhtar Imam Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Imam Rizvi

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari