dil vo pyaasa hai ki dariya ka tamasha dekhe | दिल वो प्यासा है कि दरिया का तमाशा देखे - Akhtar Imam Rizvi

dil vo pyaasa hai ki dariya ka tamasha dekhe
aur phir lehar na dekhe kaf-e-dariya dekhe

main har ik haal mein tha gardish-e-dauraan ka ameen
jis ne duniya nahin dekhi mera chehra dekhe

ab bhi aati hai tiri yaad p is karb ke saath
tootti neend mein jaise koi sapna dekhe

rang ki aanch mein jalta hua khushboo ka badan
aankh us phool ki tasveer mein kya kya dekhe

koi choti nahin ab to mere qad se aage
ye zamaana to abhi aur bhi ooncha dekhe

phir wahi dhund mein lipta hua paikar hoga
kaun be-kaar mein uthata hua parda dekhe

ek ehsaas-e-nadaamat se larz uthata hoon
jab ram-e-mauj meri wusa'at-e-sehra dekhe

दिल वो प्यासा है कि दरिया का तमाशा देखे
और फिर लहर न देखे कफ़-ए-दरिया देखे

मैं हर इक हाल में था गर्दिश-ए-दौराँ का अमीं
जिस ने दुनिया नहीं देखी मिरा चेहरा देखे

अब भी आती है तिरी याद प इस कर्ब के साथ
टूटती नींद में जैसे कोई सपना देखे

रंग की आँच में जलता हुआ ख़ुश्बू का बदन
आँख उस फूल की तस्वीर में क्या क्या देखे

कोई चोटी नहीं अब तो मिरे क़द से आगे
ये ज़माना तो अभी और भी ऊँचा देखे

फिर वही धुँद में लिपटा हुआ पैकर होगा
कौन बे-कार में उठता हुआ पर्दा देखे

एक एहसास-ए-नदामत से लरज़ उठता हूँ
जब रम-ए-मौज मिरी वुसअ'त-ए-सहरा देखे

- Akhtar Imam Rizvi
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Imam Rizvi

As you were reading Shayari by Akhtar Imam Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Imam Rizvi

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari