musalsal chala raahguzaar mein raha | मुसलसल चला रहगुज़र में रहा - Akhtar Jameel Nazmi

musalsal chala raahguzaar mein raha
mera aab-o-daana safar mein raha

main apni ghutan apne dil mein liye
hamesha hawa-daar ghar mein raha

nazar se kai log guzre magar
wahi ek chehra nazar mein raha

mujhe bhi khushi dhoondhne aayi thi
magar un dinon main safar mein raha

kisi par tavajjoh kisi ne na di
mera aib sab ki nazar mein raha

mujhe khud bhi hairat hai is baat par
sukoon se bahut shor-o-shar mein raha

guzaari hai nazmi ajab zindagi
main baahar raha hoon na ghar mein raha

मुसलसल चला रहगुज़र में रहा
मिरा आब-ओ-दाना सफ़र में रहा

मैं अपनी घुटन अपने दिल में लिए
हमेशा हवा-दार घर में रहा

नज़र से कई लोग गुज़रे मगर
वही एक चेहरा नज़र में रहा

मुझे भी ख़ुशी ढूँडने आई थी
मगर उन दिनों मैं सफ़र में रहा

किसी पर तवज्जोह किसी ने न दी
मिरा ऐब सब की नज़र में रहा

मुझे ख़ुद भी हैरत है इस बात पर
सुकूँ से बहुत शोर-ओ-शर में रहा

गुज़ारी है 'नज़मी' अजब ज़िंदगी
मैं बाहर रहा हूँ न घर में रहा

- Akhtar Jameel Nazmi
0 Likes

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Jameel Nazmi

As you were reading Shayari by Akhtar Jameel Nazmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Jameel Nazmi

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari