uljhane aur badhaate kyun ho | उलझनें और बढ़ाते क्यों हो - Akhtar Jameel Nazmi

uljhane aur badhaate kyun ho
mujh ko har baat bataate kyun ho

main galat logon mein ghir jaata hoon
tum mujhe chhod ke jaate kyun ho

din mera kaate nahin katata phir
tum zara der ko aate kyun ho

main nahin haath lagaane waala
is qadar khud ko bachaate kyun ho

ye bhi taskin ki soorat hai koi
us ke khat sab ko dikhaate kyun ho

vaadi-e-gul se guzarte jaao
haath phoolon ko lagaate kyun ho

mujh pe raushan hai haqeeqat nazmi
roz ik khwaab sunaate kyun ho

उलझनें और बढ़ाते क्यों हो
मुझ को हर बात बताते क्यों हो

मैं ग़लत लोगों में घिर जाता हूँ
तुम मुझे छोड़ के जाते क्यों हो

दिन मिरा काटे नहीं कटता फिर
तुम ज़रा देर को आते क्यों हो

मैं नहीं हाथ लगाने वाला
इस क़दर ख़ुद को बचाते क्यों हो

ये भी तस्कीन की सूरत है कोई
उस के ख़त सब को दिखाते क्यों हो

वादी-ए-गुल से गुज़रते जाओ
हाथ फूलों को लगाते क्यों हो

मुझ पे रौशन है हक़ीक़त 'नज़मी'
रोज़ इक ख़्वाब सुनाते क्यों हो

- Akhtar Jameel Nazmi
1 Like

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Jameel Nazmi

As you were reading Shayari by Akhtar Jameel Nazmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Jameel Nazmi

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari