raahgeeron se rabt paida kar | राहगीरों से रब्त पैदा कर - Akhtar Jameel Nazmi

raahgeeron se rabt paida kar
door jaana hai baat samjha kar

raat par din ka koi qarz nahin
zehan ko saaf rakh ke soya kar

kya mera ham-khayaal koi nahin
tu agar hai to haath ooncha kar

raat bhar jaagne se kya haasil
khwaab ka raasta na roka kar

faasle sochne nahin dete
mujh ko dekho mere qareeb aa kar

aks kab kaun sa ubhar aaye
der tak aaina na dekha kar

ghar mein nazmi agar sukoon hota
baithe kyun kisi ke ghar ja kar

राहगीरों से रब्त पैदा कर
दूर जाना है बात समझा कर

रात पर दिन का कोई क़र्ज़ नहीं
ज़ेहन को साफ़ रख के सोया कर

क्या मिरा हम-ख़याल कोई नहीं
तू अगर है तो हाथ ऊँचा कर

रात भर जागने से क्या हासिल
ख़्वाब का रास्ता न रोका कर

फ़ासले सोचने नहीं देते
मुझ को देखो मिरे क़रीब आ कर

अक्स कब कौन सा उभर आए
देर तक आईना न देखा कर

घर में 'नज़मी' अगर सुकूँ होता
बैठते क्यों किसी के घर जा कर

- Akhtar Jameel Nazmi
0 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Jameel Nazmi

As you were reading Shayari by Akhtar Jameel Nazmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Jameel Nazmi

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari