har ik ladki ko rasmon se daraakar maar dete the | हर इक लड़की को रस्मों से डराकर मार देते थे

  - Akhil Saxena

har ik ladki ko rasmon se daraakar maar dete the
jo karvaachauth ki hi shaam shauhar maar dete the

na jaane ishq ka bichhoo yun kaise das gaya naslein
ham aise log the jo roz ajgar maar dete the

vo ik ladki jo chat pe rahti thi ik khat ki khwaahish mein
vo kuchh ladke mohalle ke kabootar maar dete the

vo jis dariya kinaare baithe ham tum us hi dariya mein
dikhe jo hans ka joda to patthar maar dete the

khud apna dhyaan rakhne ki salaahen baantne ke baad
ghar aake yak-b-yak deewaar mein sar maar dete the

tumhaare saath tha vo shakhs so ham ho gaye madhham
wagarana aise ladkon ko to takkar maar dete the

kisi roti ne rokar baddua mein de diye kaanse
yahi sab shah dastar-khwan ko thokar maar dete the

fasaad-e-deen mein maara hua baccha khudaaon ko
bataaega tumhaara naam lekar maar dete the

हर इक लड़की को रस्मों से डराकर मार देते थे
जो करवाचौथ की ही शाम शौहर मार देते थे

न जाने इश्क़ का बिच्छू यूँ कैसे डस गया नस्लें
हम ऐसे लोग थे जो रोज़ अजगर मार देते थे

वो इक लडक़ी जो छत पे रहती थी इक ख़त की ख़्वाहिश में
वो कुछ लड़के मुहल्ले के कबूतर मार देते थे

वो जिस दरिया किनारे बैठे हम तुम उस ही दरिया में
दिखे जो हंस का जोड़ा तो पत्थर मार देते थे

ख़ुद अपना ध्यान रखने की सलाहें बाँटने के बाद
घर आके यक-ब-यक दीवार में सर मार देते थे

तुम्हारे साथ था वो शख़्स सो हम हो गए मद्धम
वगरना ऐसे लड़कों को तो टक्कर मार देते थे

किसी रोटी ने रोकर बद्दुआ में दे दिए काँसे
यही सब शाह दस्तर-ख़्वाँ को ठोकर मार देते थे

फ़साद-ए-दीन में मारा हुआ बच्चा ख़ुदाओं को
बताएगा तुम्हारा नाम लेकर मार देते थे

  - Akhil Saxena

Raqeeb Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhil Saxena

As you were reading Shayari by Akhil Saxena

Similar Writers

our suggestion based on Akhil Saxena

Similar Moods

As you were reading Raqeeb Shayari Shayari