manzil-e-khwaab hai aur mahw-e-safar paani hai | मंज़िल-ए-ख़्वाब है और महव-ए-सफ़र पानी है

  - Akram Mahmud

manzil-e-khwaab hai aur mahw-e-safar paani hai
aankh kya kholee ki taa-hadd-e-nazar paani hai

aaina hai to koi aks kahaan hai is mein
kyun baha kar nahin le jaata agar paani hai

ek khwaahish ki jo sehra-e-badan se nikli
kheenchti hai usi jaanib ko jidhar paani hai

paanv uthte hain kisi mauj ki jaanib lekin
rok leta hai kinaara ki thehar paani hai

ab bhi baadal to barsta hai par us paar kahi
kisht-e-be-aab idhar aur idhar paani hai

kheenchta hai koi sayyaara tire pyaason ko
us ilaaqe mein jahaan khaak-basar paani hai

chashm-e-nam aur dil labreiz bahut hain mujh ko
khitaa-e-khaak hai aur zaad-e-safar paani hai

मंज़िल-ए-ख़्वाब है और महव-ए-सफ़र पानी है
आँख क्या खोलीं कि ता-हद्द-ए-नज़र पानी है

आइना है तो कोई अक्स कहाँ है इस में
क्यूँ बहा कर नहीं ले जाता अगर पानी है

एक ख़्वाहिश कि जो सहरा-ए-बदन से निकली
खींचती है उसी जानिब को जिधर पानी है

पाँव उठते हैं किसी मौज की जानिब लेकिन
रोक लेता है किनारा कि ठहर पानी है

अब भी बादल तो बरसता है पर उस पार कहीं
किश्त-ए-बे-आब इधर और इधर पानी है

खींचता है कोई सय्यारा तिरे प्यासों को
उस इलाक़े में जहाँ ख़ाक-बसर पानी है

चश्म-ए-नम और दिल लबरेज़ बहुत हैं मुझ को
ख़ित्ता-ए-ख़ाक है और ज़ाद-ए-सफ़र पानी है

  - Akram Mahmud

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Mahmud

As you were reading Shayari by Akram Mahmud

Similar Writers

our suggestion based on Akram Mahmud

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari