yun hi rakhhoge imtihaan mein kya | यूँ ही रक्खोगे इम्तिहाँ में क्या

  - Akram Mahmud

yun hi rakhhoge imtihaan mein kya
nahin aayegi jaan jaan mein kya

kyun sada ka nahin jawaab aata
koi rehta nahin makaan mein kya

ik zamaana hai roo-b-roo mere
tum na aaoge darmiyaan mein kya

vo jo qisse dilon ke andar hain
vo bhi laaoge darmiyaan mein kya

kis qadar talkhiyaan hain lehje mein
zahar bote ho tum zabaan mein kya

dil ko shikwa nahin koi tum se
ham ne rahna nahin jahaan mein kya

vo jo ik lafz e'tibaar ka tha
ab nahin hai vo darmiyaan mein kya

mere khwaabon ke jo parinde the
hain abhi tak tiri amaan mein kya

ab to ye bhi nahin khayal aata
chhod aaye the is jahaan mein kya

ye bakheda jo zindagi ka hai
chhod doon us ko darmiyaan mein kya

chand wa'de the chand da'we the
aur rakha tha dastaan mein kya

jaane vo dil tha ya diya koi
raat jalta tha shamu-daan mein kya

यूँ ही रक्खोगे इम्तिहाँ में क्या
नहीं आएगी जान जाँ में क्या

क्यूँ सदा का नहीं जवाब आता
कोई रहता नहीं मकाँ में क्या

इक ज़माना है रू-ब-रू मेरे
तुम न आओगे दरमियाँ में क्या

वो जो क़िस्से दिलों के अंदर हैं
वो भी लाओगे दरमियाँ में क्या

किस क़दर तल्ख़ियाँ हैं लहजे में
ज़हर बोते हो तुम ज़बाँ में क्या

दिल को शिकवा नहीं कोई तुम से
हम ने रहना नहीं जहाँ में क्या

वो जो इक लफ़्ज़ ए'तिबार का था
अब नहीं है वो दरमियाँ में क्या

मेरे ख़्वाबों के जो परिंदे थे
हैं अभी तक तिरी अमाँ में क्या

अब तो ये भी नहीं ख़याल आता
छोड़ आए थे इस जहाँ में क्या

ये बखेड़ा जो ज़िंदगी का है
छोड़ दूँ उस को दरमियाँ में क्या

चंद वा'दे थे चंद दा'वे थे
और रखा था दास्ताँ में क्या

जाने वो दिल था या दिया कोई
रात जलता था शम्अ-दाँ में क्या

  - Akram Mahmud

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Mahmud

As you were reading Shayari by Akram Mahmud

Similar Writers

our suggestion based on Akram Mahmud

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari