agar har cheez mein us ne asar rakha hua hai
to phir ab tak mujhe kyun be-hunar rakha hua hai
ta'alluq zindagi se mukhtasar rakha hua hai
ki shaanon par nahin neze pe sar rakha hua hai
zamaane se abhi tak poochte hain us ki baatein
use ham ne abhi tak be-khabar rakha hua hai
ab aisi be-samar saaat mein us ki yaad kaisi
ye dukh achhe dinon ki aas par rakha hua hai
nikalna chahta hai wusa'at-e-sehra mein wahshi
bade jatnon se dil ko baandh kar rakha hua hai
sada deta hai roz-o-shab koi aisa jazeera
jahaan mere bhi hisse ka samar rakha hua hai
na jaane kaun si manzil pe bujh jaayen meri aankhen
so main ne ik ik hum-safar rakha hua hai
अगर हर चीज़ में उस ने असर रक्खा हुआ है
तो फिर अब तक मुझे क्यूँ बे-हुनर रक्खा हुआ है
तअ'ल्लुक़ ज़िंदगी से मुख़्तसर रक्खा हुआ है
कि शानों पर नहीं नेज़े पे सर रखा हुआ है
ज़माने से अभी तक पूछते हैं उस की बातें
उसे हम ने अभी तक बे-ख़बर रक्खा हुआ है
अब ऐसी बे-समर साअत में उस की याद कैसी
ये दुख अच्छे दिनों की आस पर रक्खा हुआ है
निकलना चाहता है वुसअ'त-ए-सहरा में वहशी
बड़े जतनों से दिल को बाँध कर रक्खा हुआ है
सदा देता है रोज़-ओ-शब कोई ऐसा जज़ीरा
जहाँ मेरे भी हिस्से का समर रक्खा हुआ है
न जाने कौन सी मंज़िल पे बुझ जाएँ मिरी आँखें
सो मैं ने इक इक हम-सफ़र रक्खा हुआ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Mahmud
our suggestion based on Akram Mahmud
As you were reading Zindagi Shayari Shayari