zakham dekhe na mere zakham ki shiddat dekhe | ज़ख़्म देखे न मिरे ज़ख़्म की शिद्दत देखे

  - Akram Mahmud

zakham dekhe na mere zakham ki shiddat dekhe
dekhne waala meri aankhon ki hairat dekhe

mujh pe aasaan hai kahe lafz ka ifa karna
us ko mushkil hai to vo apni suhoolat dekhe

dil liye jaata hai phir koo-e-malaamat ki taraf
aankh ko chahiye phir khwaab-e-hazeemat dekhe

koi soorat ho ki inkaar se pehle aa kar
kis qadar us ki yahan par hai zaroorat dekhe

dil tazbzub mein hi rehta hai b-waqt-e-paimaan
lafz dekhe ki rukh-e-yaar ki rangat dekhe

aankh bhar jaati hai is kasrat-e-nazzaara se
dil to har shakl mein bas ek shabaahat dekhe

ज़ख़्म देखे न मिरे ज़ख़्म की शिद्दत देखे
देखने वाला मिरी आँखों की हैरत देखे

मुझ पे आसाँ है कहे लफ़्ज़ का ईफ़ा करना
उस को मुश्किल है तो वो अपनी सुहूलत देखे

दिल लिए जाता है फिर कू-ए-मलामत की तरफ़
आँख को चाहिए फिर ख़्वाब-ए-हज़ीमत देखे

कोई सूरत हो कि इंकार से पहले आ कर
किस क़दर उस की यहाँ पर है ज़रूरत देखे

दिल तज़ब्ज़ुब में ही रहता है ब-वक़्त-ए-पैमाँ
लफ़्ज़ देखे कि रुख़-ए-यार की रंगत देखे

आँख भर जाती है इस कसरत-ए-नज़्ज़ारा से
दिल तो हर शक्ल में बस एक शबाहत देखे

  - Akram Mahmud

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Mahmud

As you were reading Shayari by Akram Mahmud

Similar Writers

our suggestion based on Akram Mahmud

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari