chadhe hue hain jo dariya utar bhi jaayenge
mere baghair tire din guzar bhi jaayenge
uda rahi hain hawaaein paraaye sehnon mein
dhalegi raat to ham apne ghar bhi jaayenge
jo ro rahi hai yahi aankh hans rahi hogi
tire dayaar mein baar-e-digar bhi jaayenge
talash khud ko kahi khaak-o-aab mein kar len
tumhaare khoj mein phir dar-b-dar bhi jaayenge
hamesha ek si haalat pe kuchh nahin rehta
jo aaye hain to karde din guzar bhi jaayenge
ye phool phool kisi khushnuma ki tahreeren
ye lafz ma'ano se apne mukar bhi jaayenge
चढ़े हुए हैं जो दरिया उतर भी जाएँगे
मिरे बग़ैर तिरे दिन गुज़र भी जाएँगे
उड़ा रही हैं हवाएँ पराए सेहनों में
ढलेगी रात तो हम अपने घर भी जाएँगे
जो रो रही है यही आँख हँस रही होगी
तिरे दयार में बार-ए-दिगर भी जाएँगे
तलाश ख़ुद को कहीं ख़ाक-ओ-आब में कर लें
तुम्हारे खोज में फिर दर-ब-दर भी जाएँगे
हमेशा एक सी हालत पे कुछ नहीं रहता
जो आए हैं तो कड़े दिन गुज़र भी जाएँगे
ये फूल फूल किसी ख़ुशनुमा की तहरीरें
ये लफ़्ज़ मअ'नों से अपने मुकर भी जाएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Mahmud
our suggestion based on Akram Mahmud
As you were reading Basant Shayari Shayari