ab dil bhi dukhaao to aziyyat nahin hoti
hairat hai kisi baat pe hairat nahin hoti
ab dard bhi ik had se guzarne nahin paata
ab hijr mein vo pehli si vehshat nahin hoti
hota hai to bas ek tire hijr ka shikwa
warna to hamein koi shikaayat nahin hoti
kar deta hai be-saakhta baanhon ko kushaada
jab bach ke nikal jaane ki soorat nahin hoti
dil khush jo nahin rehta to is ka bhi sabab hai
maujood koi vajh-e-masarrat nahin hoti
yun bar-sar-e-paikaar hoon main khud se musalsal
ab us se uljhane ki bhi furqat nahin hoti
ab yun bhi nahin hai ki vo achha nahin lagta
yun hai ki mulaqaat ki soorat nahin hoti
ye hijr-e-musalsal ka wazifa hai meri jaan
ik tark-e-sukoonat hi to hijrat nahin hoti
do chaar baras jitne bhi hain jabr hi sah len
is umr mein ab ham se bagaavat nahin hoti
अब दिल भी दुखाओ तो अज़िय्यत नहीं होती
हैरत है किसी बात पे हैरत नहीं होती
अब दर्द भी इक हद से गुज़रने नहीं पाता
अब हिज्र में वो पहली सी वहशत नहीं होती
होता है तो बस एक तिरे हिज्र का शिकवा
वर्ना तो हमें कोई शिकायत नहीं होती
कर देता है बे-साख़्ता बाँहों को कुशादा
जब बच के निकल जाने की सूरत नहीं होती
दिल ख़ुश जो नहीं रहता तो इस का भी सबब है
मौजूद कोई वज्ह-ए-मसर्रत नहीं होती
यूँ बर-सर-ए-पैकार हूँ मैं ख़ुद से मुसलसल
अब उस से उलझने की भी फ़ुर्सत नहीं होती
अब यूँ भी नहीं है कि वो अच्छा नहीं लगता
यूँ है कि मुलाक़ात की सूरत नहीं होती
ये हिज्र-ए-मुसलसल का वज़ीफ़ा है मिरी जाँ
इक तर्क-ए-सुकूनत ही तो हिजरत नहीं होती
दो चार बरस जितने भी हैं जब्र ही सह लें
इस उम्र में अब हम से बग़ावत नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Mahmud
our suggestion based on Akram Mahmud
As you were reading Violence Shayari Shayari