sitaara aankh mein dil mein gulaab kya rakhna | सितारा आँख में दिल में गुलाब क्या रखना

  - Akram Mahmud

sitaara aankh mein dil mein gulaab kya rakhna
ki dhalti umr mein rang-e-shabaab kya rakhna

jo regzaar-e-badan mein ghubaar udta ho
to chashm-e-khaak-e-raseeda mein khwaab kya rakhna

safar naseeb hi thehra jo dasht-e-ghurbat ka
to phir gumaan mein fareb-e-sahaab kya rakhna

jo doob jaana hai ik din jazeera-e-dil bhi
to koi naqsh sar-e-sath-e-aab kya rakhna

ult hi dena hai aakhir piyaala-e-jaan bhi
hawa ke dosh pe tasht-e-habaab kya rakhna

bas itna yaad hai ik bhool si hui thi kahi
ab is se badh ke dukhon ka hisaab kya rakhna

सितारा आँख में दिल में गुलाब क्या रखना
कि ढलती उम्र में रंग-ए-शबाब क्या रखना

जो रेगज़ार-ए-बदन में ग़ुबार उड़ता हो
तो चश्म-ए-ख़ाक-ए-रसीदा में ख़्वाब क्या रखना

सफ़र नसीब ही ठहरा जो दश्त-ए-ग़ुर्बत का
तो फिर गुमाँ में फ़रेब-ए-सहाब क्या रखना

जो डूब जाना है इक दिन जज़ीरा-ए-दिल भी
तो कोई नक़्श सर-ए-सत्ह-ए-आब क्या रखना

उलट ही देना है आख़िर पियाला-ए-जाँ भी
हवा के दोश पे तश्त-ए-हबाब क्या रखना

बस इतना याद है इक भूल सी हुई थी कहीं
अब इस से बढ़ के दुखों का हिसाब क्या रखना

  - Akram Mahmud

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Mahmud

As you were reading Shayari by Akram Mahmud

Similar Writers

our suggestion based on Akram Mahmud

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari