khaak se khwaab talak ek si veeraani hai | ख़ाक से ख़्वाब तलक एक सी वीरानी है - Akram Mahmud

khaak se khwaab talak ek si veeraani hai
mere andar mere baahar ki bayaabaani hai

koi manzar kahi maujood hai pas-manzar mein
warna kya cheez hai jo ba'is-e-hairaani hai

kah ke dekhenge b-har-taur magar pehle bhi
dil-e-khud-sar ne koi baat kahaan maani hai

kise maaloom hai rukna ki guzar jaana hai
shaam hai thehri hui bahta hua paani hai

dekh ye dil jo kabhi had se guzar jaata tha
dekh dariya mein koi shor na tughyaani hai

ख़ाक से ख़्वाब तलक एक सी वीरानी है
मेरे अंदर मिरे बाहर की बयाबानी है

कोई मंज़र कहीं मौजूद है पस-मंज़र में
वर्ना क्या चीज़ है जो बाइ'स-ए-हैरानी है

कह के देखेंगे ब-हर-तौर मगर पहले भी
दिल-ए-ख़ुद-सर ने कोई बात कहाँ मानी है

किसे मालूम है रुकना कि गुज़र जाना है
शाम है ठहरी हुई बहता हुआ पानी है

देख ये दिल जो कभी हद से गुज़र जाता था
देख दरिया में कोई शोर न तुग़्यानी है

- Akram Mahmud
0 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Mahmud

As you were reading Shayari by Akram Mahmud

Similar Writers

our suggestion based on Akram Mahmud

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari