koi hunar to meri chashm-e-ashk-baar mein hai
ki aaj bhi vo kisi khwaab ke khumaar mein hai
kisi bahaar ka manzar hai chashm-e-veeraan mein
kisi gulaab ki khushboo dil-e-figaar mein hai
ajab taqaza hai mujh se juda na hone ka
ki jaise kaun-o-makaan mere ikhtiyaar mein hai
nishaan-e-raah bhi thehrega baarishon ke ba'ad
abhi ye naqsh kisi raah ke ghubaar mein hai
ufuq ke aks kisi aaine mein kya simteen
ki shauq-e-jalva abhi apne intishaar mein hai
makaan ki koi khabar la-makaan ko kaise ho
safeer-e-rooh abhi jism ke hisaar mein hai
kamaal-e-zabt ki sa'at kahi guzar bhi ja
sitaara-e-shab-e-gham mere intizaar mein hai
कोई हुनर तो मिरी चश्म-ए-अश्क-बार में है
कि आज भी वो किसी ख़्वाब के ख़ुमार में है
किसी बहार का मंज़र है चश्म-ए-वीराँ में
किसी गुलाब की ख़ुशबू दिल-ए-फ़िगार में है
अजब तक़ाज़ा है मुझ से जुदा न होने का
कि जैसे कौन-ओ-मकाँ मेरे इख़्तियार में है
निशान-ए-राह भी ठहरेगा बारिशों के बा'द
अभी ये नक़्श किसी राह के ग़ुबार में है
उफ़ुक़ के अक्स किसी आइने में क्या सिमटीं
कि शौक़-ए-जल्वा अभी अपने इंतिशार में है
मकाँ की कोई ख़बर ला-मकाँ को कैसे हो
सफ़ीर-ए-रूह अभी जिस्म के हिसार में है
कमाल-ए-ज़ब्त की साअ'त कहीं गुज़र भी जा
सितारा-ए-शब-ए-ग़म मेरे इंतिज़ार में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Mahmud
our suggestion based on Akram Mahmud
As you were reading Attitude Shayari Shayari