aankh khulne pe bhi hota hoon usi khwaab mein gum
der tak rehta hoon ik lazzat-e-naayaab mein gum
soch hi soch mein toofaan utha deta hoon
aur ho jaata hoon ik mauja-e-girdaab mein gum
ik sitaara jo chamakta hai lab-e-baam kahi
dekhte dekhte ho jaata hai mahtaab mein gum
bach rahe saans to jaana hai unhin galiyon mein
aur hona hai usi halka-e-ahbaab mein gum
aise nashshe se siva aur nasha kya hota
aap ka khwaab jo ho jaata mere khwaab mein gum
sajda-e-shauq ke maathon se nishaan mitne lage
ho gai rasm-e-azaan gumbad-o-mehraab mein gum
gum to hona tha b-har-haal kisi manzar mein
dil hua khwaab mein gum aankh hui aab mein gum
आँख खुलने पे भी होता हूँ उसी ख़्वाब में गुम
देर तक रहता हूँ इक लज़्ज़त-ए-नायाब में गुम
सोच ही सोच में तूफ़ान उठा देता हूँ
और हो जाता हूँ इक मौजा-ए-गिर्दाब में गुम
इक सितारा जो चमकता है लब-ए-बाम कहीं
देखते देखते हो जाता है महताब में गुम
बच रहे साँस तो जाना है उन्हीं गलियों में
और होना है उसी हल्क़ा-ए-अहबाब में गुम
ऐसे नश्शे से सिवा और नशा क्या होता
आप का ख़्वाब जो हो जाता मिरे ख़्वाब में गुम
सज्दा-ए-शौक़ के माथों से निशाँ मिटने लगे
हो गई रस्म-ए-अज़ाँ गुंबद-ओ-मेहराब में गुम
गुम तो होना था ब-हर-हाल किसी मंज़र में
दिल हुआ ख़्वाब में गुम आँख हुई आब में गुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Mahmud
our suggestion based on Akram Mahmud
As you were reading Aankhein Shayari Shayari