tooti hui shabeeh ki taskheer kya karein
bujhte hue khayal ko zanjeer kya karein
andha safar hai zeest kise chhod de kahaan
uljha hua sa khwaab hai taabeer kya karein
seene mein jazb kitne samundar hue magar
aankhon pe ikhtiyaar ki tadbeer kya karein
bas ye hua ki raasta chup-chaap kat gaya
itni si waardaat ki tashheer kya karein
saaat koi guzaar bhi len jee to len kabhi
kuchh aur apne baab mein tahreer kya karein
टूटी हुई शबीह की तस्ख़ीर क्या करें
बुझते हुए ख़याल को ज़ंजीर क्या करें
अंधा सफ़र है ज़ीस्त किसे छोड़ दे कहाँ
उलझा हुआ सा ख़्वाब है ताबीर क्या करें
सीने में जज़्ब कितने समुंदर हुए मगर
आँखों पे इख़्तियार की तदबीर क्या करें
बस ये हुआ कि रास्ता चुप-चाप कट गया
इतनी सी वारदात की तश्हीर क्या करें
साअत कोई गुज़ार भी लें जी तो लें कभी
कुछ और अपने बाब में तहरीर क्या करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Naqqash
our suggestion based on Akram Naqqash
As you were reading Fantasy Shayari Shayari