gahri sooni raah aur tanhaa sa main
raat apni chaap se darta sa main
tu ki mera aaina hota hua
aur tere aks mein dhalt sa main
kab tire kooche se kar jaana hai kooch
is tasavvur se hi ghabraata sa main
meri raahon ke liye manzil tu hi
tere qadmon ke liye rasta sa main
aasmaan mein rang bikhraata sa tu
aur saraapa deed ban jaata sa main
hasrat-e-taabeer se chhootoon kabhi
har nafs is khwaab mein jalta sa main
be-karaan hota hua dast-e-gumaan
aur yaqeen ke daar par aaya sa main
na koi manzar na ab koi khayal
ab har ik shay bhoolta jaata sa main
गहरी सूनी राह और तन्हा सा मैं
रात अपनी चाप से डरता सा मैं
तू कि मेरा आइना होता हुआ
और तेरे अक्स में ढलता सा मैं
कब तिरे कूचे से कर जाना है कूच
इस तसव्वुर से ही घबराता सा मैं
मेरी राहों के लिए मंज़िल तू ही
तेरे क़दमों के लिए रस्ता सा मैं
आसमाँ में रंग बिखराता सा तू
और सरापा दीद बन जाता सा मैं
हसरत-ए-ताबीर से छूटूँ कभी
हर नफ़स इस ख़्वाब में जलता सा मैं
बे-कराँ होता हुआ दश्त-ए-गुमाँ
और यक़ीं के दार पर आया सा मैं
ना कोई मंज़र न अब कोई ख़याल
अब हर इक शय भूलता जाता सा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Naqqash
our suggestion based on Akram Naqqash
As you were reading Diversity Shayari Shayari