lahu tezaab karna chahta hai
badan ik aag dariya chahta hai
mayassar se ziyaada chahta hai
samundar jaise dariya chahta hai
ise bhi saans lene de ki har-dam
badan baahar nikalna chahta hai
mujhe bilkul ye andaaza nahin tha
vo ab rasta badalna chahta hai
nayi zanjeer failaaye hai baanhe
koi azaad hona chahta hai
rutein badlein naye fal-fool aaye
magar dil sab puraana chahta hai
sukoon kahiye jise hai raaste mein
do ik pal hi mein aaya chahta hai
hawa bhi chahiye aur raushni bhi
har ik hujra dareecha chahta hai
bagoolon se bhara hai dasht saara
yahi to roz sehra chahta hai
लहू तेज़ाब करना चाहता है
बदन इक आग दरिया चाहता है
मयस्सर से ज़ियादा चाहता है
समुंदर जैसे दरिया चाहता है
इसे भी साँस लेने दे कि हर-दम
बदन बाहर निकलना चाहता है
मुझे बिल्कुल ये अंदाज़ा नहीं था
वो अब रस्ता बदलना चाहता है
नई ज़ंजीर फैलाए है बाँहें
कोई आज़ाद होना चाहता है
रुतें बदलीं नए फल-फूल आए
मगर दिल सब पुराना चाहता है
सुकूँ कहिए जिसे है रास्ते में
दो इक पल ही में आया चाहता है
हवा भी चाहिए और रौशनी भी
हर इक हुज्रा दरीचा चाहता है
बगूलों से भरा है दश्त सारा
यही तो रोज़ सहरा चाहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Naqqash
our suggestion based on Akram Naqqash
As you were reading Aanch Shayari Shayari