kuchh fasla nahin hai adoo aur shikast mein
lekin koi suraagh nahin hai girift mein
kuchh dakhl ikhtiyaar ko ho bood-o-hast mein
sar kar luun ye jahaan-e-aalam ek jast mein
ab vaadi-e-badan mein koi bolta nahin
sunta hoon aap apni sada baaz-gasht mein
rukh hai mere safar ka alag teri samt aur
ik soo-e-murgh-zaar chale ek dasht mein
kis shah ka guzar hai ki mafluuj jism-o-jaan
jee jaan se jute hue hain band-o-bast mein
ye pooch aa ke kaun naseebon jiya hai dil
mat dekh ye ki kaun sitaara hai bakht mein
kis soz ki kasak hai nigaahon ke aas paas
kis khwaab ki shikast umad aayi hai tasht mein
कुछ फ़ासला नहीं है अदू और शिकस्त में
लेकिन कोई सुराग़ नहीं है गिरफ़्त में
कुछ दख़्ल इख़्तियार को हो बूद-ओ-हस्त में
सर कर लूँ ये जहान-ए-आलम एक जस्त में
अब वादी-ए-बदन में कोई बोलता नहीं
सुनता हूँ आप अपनी सदा बाज़-गश्त में
रुख़ है मिरे सफ़र का अलग तेरी सम्त और
इक सू-ए-मुर्ग़-ज़ार चले एक दश्त में
किस शाह का गुज़र है कि मफ़्लूज जिस्म-ओ-जाँ
जी जान से जुटे हुए हैं बंद-ओ-बस्त में
ये पूछ आ के कौन नसीबों जिया है दिल
मत देख ये कि कौन सितारा है बख़्त में
किस सोज़ की कसक है निगाहों के आस पास
किस ख़्वाब की शिकस्त उमड आई है तश्त में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Naqqash
our suggestion based on Akram Naqqash
As you were reading Travel Shayari Shayari