hairat ke daftar jaaun | हैरत के दफ़्तर जाऊँ - Akram Naqqash

hairat ke daftar jaaun
main apne andar jaaun

aankhen chaar karoon sab se
aaine se dar jaaun

duniya mil hi jaayegi
zeene chand utar jaaun

aisa koi pal aaye
saaye se baahar jaaun

tujh ko sochun pal bhar main
zanjeeron se bhar jaaun

jis raaste hain khaar babool
us raaste akshar jaaun

dukh ke jungle se nikloon
teri raahguzar jaaun

raat falak par ubhre to
main taaron se bhar jaaun

koi pal ko akela chhod
koi kaam to kar jaaun

हैरत के दफ़्तर जाऊँ
मैं अपने अंदर जाऊँ

आँखें चार करूँ सब से
आईने से डर जाऊँ

दुनिया मिल ही जाएगी
ज़ीने चंद उतर जाऊँ

ऐसा कोई पल आए
साए से बाहर जाऊँ

तुझ को सोचूँ पल भर मैं
ज़ंजीरों से भर जाऊँ

जिस रस्ते हैं ख़ार बबूल
उस रस्ते अक्सर जाऊँ

दुख के जंगल से निकलूँ
तेरी राहगुज़र जाऊँ

रात फ़लक पर उभरे तो
मैं तारों से भर जाऊँ

कोई पल को अकेला छोड़
कोई काम तो कर जाऊँ

- Akram Naqqash
0 Likes

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Naqqash

As you were reading Shayari by Akram Naqqash

Similar Writers

our suggestion based on Akram Naqqash

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari