khuli aur band aankhon se use takta raha main bhi | खुली और बंद आँखों से उसे तकता रहा मैं भी - Akram Naqqash

khuli aur band aankhon se use takta raha main bhi
tiri duniya ke peeche bhaagta firta raha main bhi

meri awaaz pichhli raat tujh tak kaise aa paati
kisi gehre kuein mein raat bhar sota raha main bhi

b-zaahir dekhti aankhen b-zaahir jaagti roohen
b-zaahir in sabhon ke saath hi jeeta raha main bhi

main hoon is kaarsaaz-e-be-kasaan ki dastaras mein yun
vo jis saanche mein bhi dhaala kiya dhalt raha main bhi

badan malboos mein shola sa ik larzaan qareen-e-jaan
dil-e-khaashaak bhi shola hua jalta raha main bhi

hai jis raah-e-yaqeen par gaamzan paa-e-khird har-dam
usi raah-e-gumaan par muddaton chalta raha main bhi

खुली और बंद आँखों से उसे तकता रहा मैं भी
तिरी दुनिया के पीछे भागता फिरता रहा मैं भी

मिरी आवाज़ पिछली रात तुझ तक कैसे आ पाती
किसी गहरे कुएँ में रात भर सोता रहा मैं भी

ब-ज़ाहिर देखती आँखें ब-ज़ाहिर जागती रूहें
ब-ज़ाहिर इन सभों के साथ ही जीता रहा मैं भी

मैं हूँ इस कारसाज़-ए-बे-कसाँ की दस्तरस में यूँ
वो जिस साँचे में भी ढाला किया ढलता रहा मैं भी

बदन मल्बूस में शोला सा इक लर्ज़ां क़रीन-ए-जाँ
दिल-ए-ख़ाशाक भी शोला हुआ जलता रहा मैं भी

है जिस राह-ए-यक़ीं पर गामज़न पा-ए-ख़िरद हर-दम
उसी राह-ए-गुमाँ पर मुद्दतों चलता रहा मैं भी

- Akram Naqqash
0 Likes

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Naqqash

As you were reading Shayari by Akram Naqqash

Similar Writers

our suggestion based on Akram Naqqash

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari