koi ilzaam mere naam mere sar nahin aaya
vo jo toofaan andar tha mere baahar nahin aaya
ye kis ki deed ne aankhon ko bhar daala khala se yun
ki phir aankhon mein koi doosra manzar nahin aaya
junoon-bardaar koi roo-e-sehra par nahin dekha
kanaar-e-aabjoo pyaasa koi lashkar nahin aaya
hui baarish darakhton ne badan se gard sab jhaadi
koi saawan koi mausam mere andar nahin aaya
kahi pathra gai aankhen kahi shal hauslon ke paanv
kahi rah-rau nahin pahuncha kahi par ghar nahin aaya
kabhi kashti pe koi baadbaan main ne nahin rakha
uraano ke liye meri koi shahpar nahin aaya
nahin ho kar bhi hai har saans mein shaamil muqaabil bhi
magar zee-hosh kahte hain koi ja kar nahin aaya
कोई इल्ज़ाम मेरे नाम मेरे सर नहीं आया
वो जो तूफ़ान अंदर था मिरे बाहर नहीं आया
ये किस की दीद ने आँखों को भर डाला ख़ला से यूँ
कि फिर आँखों में कोई दूसरा मंज़र नहीं आया
जुनूँ-बरदार कोई रू-ए-सहरा पर नहीं देखा
कनार-ए-आबजू प्यासा कोई लश्कर नहीं आया
हुई बारिश दरख़्तों ने बदन से गर्द सब झाड़ी
कोई सावन कोई मौसम मिरे अंदर नहीं आया
कहीं पथरा गई आँखें कहीं शल हौसलों के पाँव
कहीं रह-रौ नहीं पहुँचा कहीं पर घर नहीं आया
कभी कश्ती पे कोई बादबाँ मैं ने नहीं रक्खा
उड़ानों के लिए मेरी कोई शहपर नहीं आया
नहीं हो कर भी है हर साँस में शामिल मुक़ाबिल भी
मगर ज़ी-होश कहते हैं कोई जा कर नहीं आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Naqqash
our suggestion based on Akram Naqqash
As you were reading Badan Shayari Shayari