qaraar-e-gum-shuda mere khuda kab aayega
meri duaon mein rang-e-dua kab aayega
badan se bharne lage hain ham apni rooh ke ghaav
hamein saleeqa-e-daaroo-davaa kab aayega
yahin kahi se vo awaaz de raha hai magar
nawaah-e-jaan mein mera na-khuda kab aayega
ghuroob hota hua raushni ka sayyaara
andhere mausamon mein kya pata kab aayega
sama'aton ko meri murgh-zaar karne ko
khamosh dasht mein nakhl-e-sadaa kab aayega
hazaar kaarwaan yun to hain mere saath magar
jo mere naam hai vo qaafila kab aayega
faseelen toot gaeein ho gaye mahal mismar
khandar mein raat gaye doosra kab aayega
क़रार-ए-गुम-शुदा मेरे ख़ुदा कब आएगा
मिरी दुआओं में रंग-ए-दुआ कब आएगा
बदन से भरने लगे हैं हम अपनी रूह के घाव
हमें सलीक़ा-ए-दारू-दवा कब आएगा
यहीं कहीं से वो आवाज़ दे रहा है मगर
नवाह-ए-जाँ में मिरा ना-ख़ुदा कब आएगा
ग़ुरूब होता हुआ रौशनी का सय्यारा
अँधेरे मौसमों में क्या पता कब आएगा
समाअतों को मिरी मुर्ग़-ज़ार करने को
ख़मोश दश्त में नख़्ल-ए-सदा कब आएगा
हज़ार कारवाँ यूँ तो हैं मेरे साथ मगर
जो मेरे नाम है वो क़ाफ़िला कब आएगा
फ़सीलें टूट गईं हो गए महल मिस्मार
खंडर में रात गए दूसरा कब आएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Naqqash
our suggestion based on Akram Naqqash
As you were reading Relationship Shayari Shayari