tu saath hai magar kahi tera pata nahin | तू साथ है मगर कहीं तेरा पता नहीं

  - Akram Naqqash

tu saath hai magar kahi tera pata nahin
shaakhon pe door tak koi patta haraa nahin

khaamoshiyaan bhari hain fazaaon mein in dinon
ham ne bhi mausamon se idhar kuchh kaha nahin

tu ne zabaan na khuli sukhun main ne chun liye
tu ne vo padh liya jise main ne likha nahin

ye kaun si jagah hai ye basti hai kaun si
koi bhi is jahaan mein tere siva nahin

chaliye bahut qareeb se sab dekhna hua
apne gumaan se hat ke kahi kuchh hua nahin

chhodaa hai jaane kis ne mujhe baal-o-par ke saath
ye kin bulandiyon pe jahaan par hawa nahin

rang-e-talab hai kaun si manzil mein kya kahein
aankhon mein muddaa nahin lab par sada nahin

peeche tire ai raahat-e-jaan kuchh na poochiyo
kya kya hua nahin yahan kya kuchh hua nahin

तू साथ है मगर कहीं तेरा पता नहीं
शाख़ों पे दूर तक कोई पत्ता हरा नहीं

ख़ामोशियाँ भरी हैं फ़ज़ाओं में इन दिनों
हम ने भी मौसमों से इधर कुछ कहा नहीं

तू ने ज़बाँ न खोली सुख़न मैं ने चुन लिए
तू ने वो पढ़ लिया जिसे मैं ने लिखा नहीं

ये कौन सी जगह है ये बस्ती है कौन सी
कोई भी इस जहान में तेरे सिवा नहीं

चलिए बहुत क़रीब से सब देखना हुआ
अपने गुमाँ से हट के कहीं कुछ हुआ नहीं

छोड़ा है जाने किस ने मुझे बाल-ओ-पर के साथ
ये किन बुलंदियों पे जहाँ पर हवा नहीं

रंग-ए-तलब है कौन सी मंज़िल में क्या कहें
आँखों में मुद्दआ नहीं लब पर सदा नहीं

पीछे तिरे ऐ राहत-ए-जान कुछ न पूछियो
क्या क्या हुआ नहीं यहाँ क्या कुछ हुआ नहीं

  - Akram Naqqash

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Naqqash

As you were reading Shayari by Akram Naqqash

Similar Writers

our suggestion based on Akram Naqqash

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari