habs-e-daroon pe jism-e-giraan-baar sang tha | हब्स-ए-दरूँ पे जिस्म-ए-गिराँ-बार संग था

  - Akram Naqqash

habs-e-daroon pe jism-e-giraan-baar sang tha
vehshat pe meri arsa-e-aafaq tang tha

kuchh door tak sahaab-e-rifaqat raha rafeeq
phir ehtamaam-e-baarish-e-teer-o-tafang tha

sahmi hui faza-e-ghazaalaan ke roo-b-roo
jungle tha qahqahe the khuda tha main dang tha

ab shehr-e-justujoo mein tire baad kuchh nahin
aabaadi-e-badan mein jo dil tha malang tha

jee ye kare hai aaj ki tanhaa jiein maren
kab mere iztiraab ka ye rang-dhang tha

har shaam muzmahil si savera bujha bujha
tujh se pare jo dekha yahi ek rang tha

हब्स-ए-दरूँ पे जिस्म-ए-गिराँ-बार संग था
वहशत पे मेरी अरसा-ए-आफ़ाक़ तंग था

कुछ दूर तक सहाब-ए-रिफ़ाक़त रहा रफ़ीक़
फिर एहतमाम-ए-बारिश-ए-तीर-ओ-तफ़ंग था

सहमी हुई फ़ज़ा-ए-ग़ज़ालाँ के रू-ब-रू
जंगल था क़हक़हे थे ख़ुदा था मैं दंग था

अब शहर-ए-जुस्तुजू में तिरे बाद कुछ नहीं
आबादी-ए-बदन में जो दिल था मलंग था

जी ये करे है आज कि तन्हा जिएँ मरें
कब मेरे इज़्तिराब का ये रंग-ढंग था

हर शाम मुज़्महिल सी सवेरा बुझा बुझा
तुझ से परे जो देखा यही एक रंग था

  - Akram Naqqash

Subah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Naqqash

As you were reading Shayari by Akram Naqqash

Similar Writers

our suggestion based on Akram Naqqash

Similar Moods

As you were reading Subah Shayari Shayari