b-rang-e-khwaab main bikhra rahoonga | ब-रंग-ए-ख़्वाब मैं बिखरा रहूँगा - Akram Naqqash

b-rang-e-khwaab main bikhra rahoonga
tire inkaar jab chunta rahoonga

kabhi socha nahin tha main tire bin
yun zer-e-aasmaan tanhaa rahoonga

tu koi aks mujh mein dhundna mat
main sheesha hoon faqat sheesha rahoonga

ta'ffun-zaar hoti mehfilon mein
khayaal-e-yaar se mahka rahoonga

jiyoonga main tiri saanson mein jab tak
khud apni saans mein zinda rahoonga

gali bazaar badhti vahshaton ko
main tere naam hi likhta rahoonga

ब-रंग-ए-ख़्वाब मैं बिखरा रहूँगा
तिरे इंकार जब चुनता रहूँगा

कभी सोचा नहीं था मैं तिरे बिन
यूँ ज़ेर-ए-आसमाँ तन्हा रहूँगा

तू कोई अक्स मुझ में ढूँडना मत
मैं शीशा हूँ फ़क़त शीशा रहूँगा

ताअफ़्फ़ुन-ज़ार होती महफ़िलों में
ख़याल-ए-यार से महका रहूँगा

जियूँगा मैं तिरी साँसों में जब तक
ख़ुद अपनी साँस में ज़िंदा रहूँगा

गली बाज़ार बढ़ती वहशतों को
मैं तेरे नाम ही लिखता रहूँगा

- Akram Naqqash
0 Likes

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Naqqash

As you were reading Shayari by Akram Naqqash

Similar Writers

our suggestion based on Akram Naqqash

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari