dasht ko dhoondhne nikloon to jazeera nikle
paanv rakhoon jo main veeraane mein duniya nikle
ek bifara hua dariya hai mere chaar taraf
tu jo chahe isee toofaan se kinaara nikle
ek mausam hai dil o jaan pe faqat din ho ki raat
aasmaan koi ho dil par wahi taara nikle
dekhta hoon main tiri raah mein daam-e-hairat
raushni raat se aur dhoop se saaya nikle
is se pehle ye kabhi dil ne kaha hi kab tha
raat kuchh aur badhe chaand dobara nikle
aankh jhukti hai to milti hai khamoshi ko zabaan
band honton se koi bolta dariya nikle
ishq ik aisi haveli hai ki jis se baahar
koi darwaaza khule aur na dareecha nikle
seher ne tere ajab raah sujhaai hamdam
ham kahaan jaane ko nikle the kahaan aa nikle
दश्त को ढूँडने निकलूँ तो जज़ीरा निकले
पाँव रख्खूँ जो मैं वीराने में दुनिया निकले
एक बिफरा हुआ दरिया है मिरे चार तरफ़
तू जो चाहे इसी तूफ़ाँ से किनारा निकले
एक मौसम है दिल ओ जाँ पे फ़क़त दिन हो कि रात
आसमाँ कोई हो दिल पर वही तारा निकले
देखता हूँ मैं तिरी राह में दाम-ए-हैरत
रौशनी रात से और धूप से साया निकले
इस से पहले ये कभी दिल ने कहा ही कब था
रात कुछ और बढ़े चाँद दोबारा निकले
आँख झुकती है तो मिलती है ख़मोशी को ज़बाँ
बंद होंटों से कोई बोलता दरिया निकले
इश्क़ इक ऐसी हवेली है कि जिस से बाहर
कोई दरवाज़ा खुले और न दरीचा निकले
सेहर ने तेरे अजब राह सुझाई हमदम
हम कहाँ जाने को निकले थे कहाँ आ निकले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akram Naqqash
our suggestion based on Akram Naqqash
As you were reading Duniya Shayari Shayari