bhool jaayen ham use aisa nazaara to nahin
yaad par aata rahe ye bhi gawara to nahin
dil dhadakta hai dhadakta hai dhadakta hai mera
vo tumhaara vo tumhaara vo tumhaara to nahin
aaj-kal patthar utha kar sochta hai har koi
saamne insaan hai lekin hamaara to nahin
khwaab kitne shaad hain aur raat bhi aabaad hai
jaag kar main ne hi khud un ko sanwaara to nahin
baat badhne ke liye main kis qadar be-taab hon
aur badhaane ki taraf tera ishaara to nahin
haar jaane mein maza hai tum se gar ho saamna
jeetna vaise alakh ko naagwaara to nahin
भूल जाएँ हम उसे ऐसा नज़ारा तो नहीं
याद पर आता रहे ये भी गवारा तो नहीं
दिल धड़कता है धड़कता है धड़कता है मिरा
वो तुम्हारा वो तुम्हारा वो तुम्हारा तो नहीं
आज-कल पत्थर उठा कर सोचता है हर कोई
सामने इंसान है लेकिन हमारा तो नहीं
ख़्वाब कितने शाद हैं और रात भी आबाद है
जाग कर मैं ने ही ख़ुद उन को सँवारा तो नहीं
बात बढ़ने के लिए मैं किस क़दर बे-ताब हों
और बढ़ाने की तरफ़ तेरा इशारा तो नहीं
हार जाने में मज़ा है तुम से गर हो सामना
जीतना वैसे 'अलख़' को नागवारा तो नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alakh Niranjan
our suggestion based on Alakh Niranjan
As you were reading Raat Shayari Shayari