shokh patte lahlahaate hain shajar ke | शोख़ पत्ते लहलहाते हैं शजर के

  - Alakh Niranjan

shokh patte lahlahaate hain shajar ke
jaise koi ishtehaar apne hunar ke

kitne kacche raaste hain is shehar mein
she'r jaise ban pade hon be-bahr ke

sau makaanein phir kahi todi gaeein to
ek putla phir kahi aaya ubhar ke

jab karenge guftugoo tanhaaiyon se
tab banenge hum-safar khud hum-safar ke

paas baitho bhi kabhi kaajal lagaaye
hausale bhi dekh lo meri nazar ke

muflisi se door thodi hai ameeri
faasle hain chand qismat-o-safar ke

gir padeen tab dar gaeein boonden zameen se
haath pakde hi rahi bahti nahar ke

baant le duniya jo tukde ho gaye hain
zeest-o-hasti ke dil-o-jaan-o-jigar ke

yun qalam ko kaaghazon mein gaar dena
kya yahi aasaar hain tere ghadar ke

apne andhe-pan ke baare mein to socho
khwaab alakh kyun dekhte ho tum sehar ke

शोख़ पत्ते लहलहाते हैं शजर के
जैसे कोई इश्तिहार अपने हुनर के

कितने कच्चे रास्ते हैं इस शहर में
शे'र जैसे बन पड़े हों बे-बहर के

सौ मकानें फिर कहीं तोड़ी गईं तो
एक पुतला फिर कहीं आया उभर के

जब करेंगे गुफ़्तुगू तन्हाइयों से
तब बनेंगे हम-सफ़र ख़ुद हम-सफ़र के

पास बैठो भी कभी काजल लगाए
हौसले भी देख लो मेरी नज़र के

मुफ़्लिसी से दूर थोड़ी है अमीरी
फ़ासले हैं चंद क़िस्मत-ओ-सफ़र के

गिर पड़ीं तब डर गईं बूँदें ज़मीं से
हाथ पकड़े ही रही बहती नहर के

बाँट ले दुनिया जो टुकड़े हो गए हैं
ज़ीस्त-ओ-हस्ती के दिल-ओ-जान-ओ-जिगर के

यूँ क़लम को काग़ज़ों में गाड़ देना
क्या यही आसार हैं तेरे ग़दर के

अपने अंधे-पन के बारे में तो सोचो
ख़्वाब 'अलख़' क्यों देखते हो तुम सहर के

  - Alakh Niranjan

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alakh Niranjan

As you were reading Shayari by Alakh Niranjan

Similar Writers

our suggestion based on Alakh Niranjan

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari