kaam bas naam ka nahin hota
naam kuchh kaam ka nahin hota
aaj ki shaam ka jo aalam hai
har kisi shaam ka nahin hota
chain had se badha to yaaron phir
chain aaraam ka nahin hota
yun to is be-khudi ke masale mein
sab gunaah jaam ka nahin hota
aage aaghaaz ka tareeqa tha
ab to anjaam ka nahin hota
intizaar aahaton ka jitna hai
itna paighaam ka nahin hota
dard to sirf dard hai ke dard
khaas ya aam ka nahin hota
ek pal main ne bhi to baandha hai
pyaar bas raam ka nahin hota
har koi dropadi bache itna
hausla shyaam ka nahin hota
काम बस नाम का नहीं होता
नाम कुछ काम का नहीं होता
आज की शाम का जो आलम है
हर किसी शाम का नहीं होता
चैन हद से बढ़ा तो यारों फिर
चैन आराम का नहीं होता
यूँ तो इस बे-ख़ुदी के मसअले में
सब गुनाह जाम का नहीं होता
आगे आग़ाज़ का तरीक़ा था
अब तो अंजाम का नहीं होता
इंतिज़ार आहटों का जितना है
इतना पैग़ाम का नहीं होता
दर्द तो सिर्फ़ दर्द है के दर्द
ख़ास या आम का नहीं होता
एक पल मैं ने भी तो बाँधा है
प्यार बस राम का नहीं होता
हर कोई द्रोपदी बचे इतना
हौसला श्याम का नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alakh Niranjan
our suggestion based on Alakh Niranjan
As you were reading Love Shayari Shayari