karna pada tha jis ke liye ye safar mujhe
vo mauj-e-shauq chhod gai ret par mujhe
aadaab-e-bazm ke siva kuchh aur to na tha
mehfil mein us ne paan diye khaas kar mujhe
lautaa hoon phir vo jism ki veeraaniyaan liye
hasrat se dekhte hain ye deewar-o-dar mujhe
bazaar ka to hosh hai lekin nahin ye yaad
kal raat kaun chhod gaya mere ghar mujhe
aankhon ka noor seene mein mahfooz kar liya
is shehar mein jo hona pada be-basar mujhe
is ke siva ye raaz bhala kaun jaanta
vo sab ko gaaliyon se navaaze magar mujhe
करना पड़ा था जिस के लिए ये सफ़र मुझे
वो मौज-ए-शौक़ छोड़ गई रेत पर मुझे
आदाब-ए-बज़्म के सिवा कुछ और तो न था
महफ़िल में उस ने पान दिए ख़ास कर मुझे
लौटा हूँ फिर वो जिस्म की वीरानियाँ लिए
हसरत से देखते हैं ये दीवार-ओ-दर मुझे
बाज़ार का तो होश है लेकिन नहीं ये याद
कल रात कौन छोड़ गया मेरे घर मुझे
आँखों का नूर सीने में महफ़ूज़ कर लिया
इस शहर में जो होना पड़ा बे-बसर मुझे
इस के सिवा ये राज़ भला कौन जानता
वो सब को गालियों से नवाज़े मगर मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aleem Afsar
our suggestion based on Aleem Afsar
As you were reading Greed Shayari Shayari