chale the bhar ke ret jab safar ki jism-o-jaan mein ham | चले थे भर के रेत जब सफ़र की जिस्म-ओ-जाँ में हम

  - Aleem Afsar

chale the bhar ke ret jab safar ki jism-o-jaan mein ham
to sahilon ka aks dekhte the baadbaan mein ham

tuyoor the jo ghonslon mein paikaron ke ud gaye
akela rah gaye hain apne khwaab ke makaan mein ham

hamaari justuju bhi ab to ho gai hai gard gard
ki naqsh-e-paa ko dhoondte hain rah ke har nishaan mein ham

ishaariyat thi be-zabaan tha lafz lafz dastaan
sunaate kis tarah ki gum the khud hi dastaan mein ham

baras rahi hai aasmaan se misl-e-sang teergi
khade hain kab se teri aarzoo ke saaebaan mein ham

zameen ka dard be-badan bhi ho ke apne dil mein tha
tabhi to khinch ke aa gaye the warna aasmaan mein ham

nafs nafs hai zindagi ka kaarobaar muntashar
deewaaliya hue ki jab se aaye is jahaan mein ham

चले थे भर के रेत जब सफ़र की जिस्म-ओ-जाँ में हम
तो साहिलों का अक्स देखते थे बादबाँ में हम

तुयूर थे जो घोंसलों में पैकरों के उड़ गए
अकेले रह गए हैं अपने ख़्वाब के मकाँ में हम

हमारी जुस्तुजू भी अब तो हो गई है गर्द गर्द
कि नक़्श-ए-पा को ढूँडते हैं रह के हर निशाँ में हम

इशारियत थी बे-ज़बाँ था लफ़्ज़ लफ़्ज़ दास्ताँ
सुनाते किस तरह कि गुम थे ख़ुद ही दास्ताँ में हम

बरस रही है आसमाँ से मिस्ल-ए-संग तीरगी
खड़े हैं कब से तेरी आरज़ू के साएबाँ में हम

ज़मीं का दर्द बे-बदन भी हो के अपने दिल में था
तभी तो खिंच के आ गए थे वर्ना आसमाँ में हम

नफ़स नफ़स है ज़िंदगी का कारोबार मुन्तशर
दीवालिया हुए कि जब से आए इस जहाँ में हम

  - Aleem Afsar

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleem Afsar

As you were reading Shayari by Aleem Afsar

Similar Writers

our suggestion based on Aleem Afsar

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari