na pooch rabt hai kya us ki dastaan se mujhe | न पूछ रब्त है क्या उस की दास्ताँ से मुझे

  - Aleem Afsar

na pooch rabt hai kya us ki dastaan se mujhe
bichhad gaya ki bichadna tha kaarwaan se mujhe

mere badan mein koi bhar de barf ke tukde
ki aanch aati hai raaton ko kahkashaan se mujhe

kiraya-daar badalna to us ka sheva tha
nikaal kar vo bahut khush hua makaan se mujhe

sadaaein jism ki deewaar paar karti hain
koi pukaar raha hai magar kahaan se mujhe

khada khada yoonhi sar par kahi na aan gire
laga hi rehta hai ye dar bhi aasmaan se mujhe

ab us ki baari hai to us se kaise munh modoon
kabhi to us ne bhi chaaha tha jism-o-jaan se mujhe

mere iraadon ko vo mujh se pooch kar afsar
do-chaar kar gaya ik aur imtihaan se mujhe

न पूछ रब्त है क्या उस की दास्ताँ से मुझे
बिछड़ गया कि बिछड़ना था कारवाँ से मुझे

मिरे बदन में कोई भर दे बर्फ़ के टुकड़े
कि आँच आती है रातों को कहकशाँ से मुझे

किराया-दार बदलना तो उस का शेवा था
निकाल कर वो बहुत ख़ुश हुआ मकाँ से मुझे

सदाएँ जिस्म की दीवार पार करती हैं
कोई पुकार रहा है मगर कहाँ से मुझे

खड़ा खड़ा यूँही सर पर कहीं न आन गिरे
लगा ही रहता है ये दर भी आसमाँ से मुझे

अब उस की बारी है तो उस से कैसे मुँह मोड़ूँ
कभी तो उस ने भी चाहा था जिस्म-ओ-जाँ से मुझे

मिरे इरादों को वो मुझ से पूछ कर 'अफ़सर'
दो-चार कर गया इक और इम्तिहाँ से मुझे

  - Aleem Afsar

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleem Afsar

As you were reading Shayari by Aleem Afsar

Similar Writers

our suggestion based on Aleem Afsar

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari