khule hain mashriq-o-maghrib ki god mein gulzaar | खुले हैं मश्रिक-ओ-मग़रिब की गोद में गुलज़ार

  - Ali Sardar Jafri

khule hain mashriq-o-maghrib ki god mein gulzaar
magar khizaan ko mayassar nahin yaqeen-e-bahaar

khabar nahin hai bamon ke banaane waalon ko
tameez ho to mah-o-mehr-o-kahkashaan hain shikaar

usi se teg-e-nigah aab-daar hoti hai
tujhe bataaun badi shay hai jurat-e-inkaar

kiye hain shauq ne paida hazaar veeraane
ik aarzoo ne basaaye hain laakh shehr-e-diyaar

nashaat-e-subh-e-bahaaraan tujhe naseeb nahin
tire nigaah mein hai beeti hui shabon ka khumaar

farokht hoti hai insaaniyat si jins-e-giraan
jahaan ko phoonk na degi ye garmi-e-baazaar

yahi hai zeenat-o-aaraish uroos-e-sukhan
magar fareb bhi deti hai shokhi-e-guftaar

खुले हैं मश्रिक-ओ-मग़रिब की गोद में गुलज़ार
मगर ख़िज़ाँ को मयस्सर नहीं यक़ीन-ए-बहार

ख़बर नहीं है बमों के बनाने वालों को
तमीज़ हो तो मह-ओ-मेहर-ओ-कहकशाँ हैं शिकार

उसी से तेग़-ए-निगह आब-दार होती है
तुझे बताऊँ बड़ी शय है जुरअत-ए-इंकार

किए हैं शौक़ ने पैदा हज़ार वीराने
इक आरज़ू ने बसाए हैं लाख शहर-ए-दयार

नशात-ए-सुब्ह-ए-बहाराँ तुझे नसीब नहीं
तिरे निगह में है बीती हुई शबों का ख़ुमार

फ़रोख़्त होती है इंसानियत सी जिंस-ए-गिराँ
जहाँ को फूँक न देगी ये गर्मी-ए-बाज़ार

यही है ज़ीनत-ओ-आराइश उरूस-ए-सुख़न
मगर फ़रेब भी देती है शोख़ी-ए-गुफ़्तार

  - Ali Sardar Jafri

Dua Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Dua Shayari Shayari