ye kis ne phone pe di saal-e-nau ki tahniyat mujh ko | ये किस ने फ़ोन पे दी साल-ए-नौ की तहनियत मुझ को - Ali Sardar Jafri

ye kis ne phone pe di saal-e-nau ki tahniyat mujh ko
tamannaa raqs karti hai takhayyul gungunata hai

tasavvur ik naye ehsaas ki jannat mein le aaya
nigaahon mein koi rangeen chehra muskurata hai

jabeen ki chhoot padti hai falak ke maah-paaron par
ziya phaili hui hai saara aalam jagmagataa hai

shafaq ke noor se raushan hain mehraaben fazaaon ki
surayyaa ki jabeen zohra ka aariz timtimaata hai

purane saal ki thithuri hui parchaaiyaan simteen
naye din ka naya suraj ufuq par uthata aata hai

zameen ne phir naye sar se naya rakht-e-safar baandha
khushi mein har qadam par aftaab aankhen bichaata hai

hazaaron khwaahishein angadaaiyaan leti hain seene mein
jahaan-e-aarzoo ka zarra zarra gungunata hai

umeedein daal kar aankhon mein aankhen muskuraati hain
zamaana jumbish-e-mizgaan se afsaane sunaata hai

masarrat ke jawaan mallaah kashti le ke nikle hain
ghamon ke na-khudaon ka safeena dagmagata hai

khushi mujh ko bhi hai lekin main ye mehsoos karta hoon
masarrat ke is aaine mein gham bhi jhilmilata hai

hamaare daur-e-mahkoomi ki muddat ghatti jaati hai
ghulaami ke zamaane mein izafa hota jaata hai

yahi andaaz gar baaki hain apni sust-gaami ke
na jaane aur kitne saal aayenge ghulaami ke

ये किस ने फ़ोन पे दी साल-ए-नौ की तहनियत मुझ को
तमन्ना रक़्स करती है तख़य्युल गुनगुनाता है

तसव्वुर इक नए एहसास की जन्नत में ले आया
निगाहों में कोई रंगीन चेहरा मुस्कुराता है

जबीं की छूट पड़ती है फ़लक के माह-पारों पर
ज़िया फैली हुई है सारा आलम जगमगाता है

शफ़क़ के नूर से रौशन हैं मेहराबें फ़ज़ाओं की
सुरय्या की जबीं ज़ोहरा का आरिज़ तिम्तिमाता है

पुराने साल की ठिठुरी हुई परछाइयाँ सिमटीं
नए दिन का नया सूरज उफ़ुक़ पर उठता आता है

ज़मीं ने फिर नए सर से नया रख़्त-ए-सफ़र बाँधा
ख़ुशी में हर क़दम पर आफ़्ताब आँखें बिछाता है

हज़ारों ख़्वाहिशें अंगड़ाइयाँ लेती हैं सीने में
जहान-ए-आरज़ू का ज़र्रा ज़र्रा गुनगुनाता है

उमीदें डाल कर आँखों में आँखें मुस्कुराती हैं
ज़माना जुम्बिश-ए-मिज़्गाँ से अफ़्साने सुनाता है

मसर्रत के जवाँ मल्लाह कश्ती ले के निकले हैं
ग़मों के ना-ख़ुदाओं का सफ़ीना डगमगाता है

ख़ुशी मुझ को भी है लेकिन मैं ये महसूस करता हूँ
मसर्रत के इस आईने में ग़म भी झिलमिलाता है

हमारे दौर-ए-महकूमी की मुद्दत घटती जाती है
ग़ुलामी के ज़माने में इज़ाफ़ा होता जाता है

यही अंदाज़ गर बाक़ी हैं अपनी सुस्त-गामी के
न जाने और कितने साल आएँगे ग़ुलामी के

- Ali Sardar Jafri
4 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari