zamaana aaya hai be-hijaabi ka aam deedaar-e-yaar hoga | ज़माना आया है बे-हिजाबी का आम दीदार-ए-यार होगा

  - Allama Iqbal

zamaana aaya hai be-hijaabi ka aam deedaar-e-yaar hoga
sukoot tha parda-daar jis ka vo raaz ab aashkaar hoga

guzar gaya ab vo daur saaqi ki chhup ke peete the peene waale
banega saara jahaan may-khaana har koi baada-khwaar hoga

kabhi jo aawaara-e-junoon the vo bastiyon mein phir aa basenge
barhana-paai wahi rahegi magar naya khaar-zaar hoga

suna diya gosh-e-muntazir ko hijaaz ki khaamoshi ne aakhir
jo ahad sehraaiyon se baandha gaya tha phir ustuvaar hoga

nikal ke sehra se jis ne rooma ki saltanat ko ult diya tha
suna hai ye qudsiyon se main ne vo sher phir hoshiyaar hoga

kiya mera tazkira jo saaqi ne baada-khwaaron ki anjuman mein
to peer-e-may-khaana sun ke kehne laga ki munh phat hai khaar hoga

dayaar-e-maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukaaan nahin hai
khara jise tum samajh rahe ho vo ab zar-e-kam-ayaar hoga

tumhaari tahzeeb apne khanjar se aap hi khud-kushi karegi
jo shaakh-e-naazuk pe aashiyana banega naa-paayedaar hoga

safeena-e-barg-e-gul bana lega qaafila mor-e-naa-tawaan ka
hazaar maujon ki ho kashaaksh magar ye dariya se paar hoga

chaman mein lala dikhaata firta hai daagh apna kali kali ko
ye jaanta hai ki is dikhaave se dil-jalon mein shumaar hoga

jo ek tha ai nigaah tu ne hazaar kar ke hamein dikhaaya
yahi agar kaifiyat hai teri to phir kise e'tibaar hoga

kaha jo qamri se main ne ik din yahan ke azaad pa-b-gil hain
to gunche kehne lage hamaare chaman ka ye raazdaar hoga

khuda ke aashiq to hain hazaaron bano mein firte hain maare maare
main us ka banda banuunga jis ko khuda ke bandon se pyaar hoga

ye rasm-e-barham fana hai ai dil gunaah hai jumbish-e-nazar bhi
rahegi kya aabroo hamaari jo tu yahan be-qaraar hoga

main zulmat-e-shab mein le ke nikloonga apne darmaanda kaarwaan ko
shah nishaan hogi aah meri nafs mera shola baar hoga

nahin hai ghair-az numood kuchh bhi jo muddaa teri zindagi ka
tu ik nafs mein jahaan se mitna tujhe misaal-e-sharaar hoga

na pooch iqbaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahi sar-e-rahguzaar baitha sitam-kash-e-intizaar hoga

ज़माना आया है बे-हिजाबी का आम दीदार-ए-यार होगा
सुकूत था पर्दा-दार जिस का वो राज़ अब आश्कार होगा

गुज़र गया अब वो दौर साक़ी कि छुप के पीते थे पीने वाले
बनेगा सारा जहान मय-ख़ाना हर कोई बादा-ख़्वार होगा

कभी जो आवारा-ए-जुनूँ थे वो बस्तियों में फिर आ बसेंगे
बरहना-पाई वही रहेगी मगर नया ख़ार-ज़ार होगा

सुना दिया गोश-ए-मुंतज़िर को हिजाज़ की ख़ामुशी ने आख़िर
जो अहद सहराइयों से बाँधा गया था फिर उस्तुवार होगा

निकल के सहरा से जिस ने रूमा की सल्तनत को उलट दिया था
सुना है ये क़ुदसियों से मैं ने वो शेर फिर होशियार होगा

किया मिरा तज़्किरा जो साक़ी ने बादा-ख़्वारों की अंजुमन में
तो पीर-ए-मय-ख़ाना सुन के कहने लगा कि मुँह फट है ख़ार होगा

दयार-ए-मग़रिब के रहने वालो ख़ुदा की बस्ती दुकाँ नहीं है
खरा जिसे तुम समझ रहे हो वो अब ज़र-ए-कम-अयार होगा

तुम्हारी तहज़ीब अपने ख़ंजर से आप ही ख़ुद-कुशी करेगी
जो शाख़-ए-नाज़ुक पे आशियाना बनेगा ना-पाएदार होगा

सफ़ीना-ए-बर्ग-ए-गुल बना लेगा क़ाफ़िला मोर-ए-ना-तावाँ का
हज़ार मौजों की हो कशाकश मगर ये दरिया से पार होगा

चमन में लाला दिखाता फिरता है दाग़ अपना कली कली को
ये जानता है कि इस दिखावे से दिल-जलों में शुमार होगा

जो एक था ऐ निगाह तू ने हज़ार कर के हमें दिखाया
यही अगर कैफ़ियत है तेरी तो फिर किसे ए'तिबार होगा

कहा जो क़मरी से मैं ने इक दिन यहाँ के आज़ाद पा-ब-गिल हैं
तो ग़ुंचे कहने लगे हमारे चमन का ये राज़दार होगा

ख़ुदा के आशिक़ तो हैं हज़ारों बनों में फिरते हैं मारे मारे
मैं उस का बंदा बनूँगा जिस को ख़ुदा के बंदों से प्यार होगा

ये रस्म-ए-बरहम फ़ना है ऐ दिल गुनाह है जुम्बिश-ए-नज़र भी
रहेगी क्या आबरू हमारी जो तू यहाँ बे-क़रार होगा

मैं ज़ुल्मत-ए-शब में ले के निकलूँगा अपने दरमाँदा कारवाँ को
शह निशाँ होगी आह मेरी नफ़स मिरा शो'ला बार होगा

नहीं है ग़ैर-अज़ नुमूद कुछ भी जो मुद्दआ तेरी ज़िंदगी का
तू इक नफ़स में जहाँ से मिटना तुझे मिसाल-ए-शरार होगा

न पूछ 'इक़बाल' का ठिकाना अभी वही कैफ़ियत है उस की
कहीं सर-ए-रहगुज़ार बैठा सितम-कश-ए-इंतिज़ार होगा

  - Allama Iqbal

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari